Bewafa Tera Masoom Chehra Song Lyrics by Jubin Nautiyal 

Bewafa Tera Masoom Chehra sung Lyrics by Jubin Nautiyal: The song is sung by Rochak Kohli and Jubin Nautiyal, and has music by Rochak Kohli while Rashmi Virag has written the Bewafa Tera Masoom Chehra Lyrics. The music video of the Bewafa Tera Masoom Chehra song is directed by Navjit Buttar , and it features Karan Mehra, Ihana Dhillion, and Amardeep Phogat.



Woh bhi kya din thhe yaar
Tumhein dekh kar saari
Yaadein taza ho gayi
Tumhare gale ki khanak
Aur aayat ki payal ki chhanak
Poora mohalla goonj uthta tha

Dil laga bhi liya
Ishq bhi kar liya
Chandani raat mein
Humne taare gine



Dil laga bhi liya
Ishq bhi kar liya
Chandani raat mein
Humne taare gine

Khwab jaisa koyi
Khwab thi zindagi
Neend tooti toh
Aaya samajh ye humein

Raah wo jispe main chal raha tha
Uski koyi bhi manzil nahi hai

Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kaabil nahi hai

Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Khoobsurat bahut hai tu lekin
Dil lagane ke kaabil nahi hai

Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Bhool jaane ke kaabil nahi hai

Ho meri yaadon se tu aaj tak na gaya
Aankh mein baarishein teri maujud hai
Meri yaadon se tu aaj tak na gaya
Aankh mein baarishein teri maujud hai

Aaj bhi mehfilon mein tere aur mere
Naam pehle ki tarah hi mashoor hai
Mere barbaadiyon ki wajah mein
Kehte hai ki tu shaamil nahi hai

Qatal baazar mein ho chuka hun
Phir bhi tu mera kaatil nahi hai

Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Bhool jaane ke kaabil nahi hai

Kabhi iss aur kabhi uss aur
Chale jaate ho
Mahobbat humse wafa gairon se
Yeh hunar kahan se laate ho

Karwat badal leta hu main aajkal
Jo kabhi mere khwabon mein
Tum chale aate ho

Jhoothi wafaaon ki jhoothi kahani
Hai tune sunayi mujhe
Mere liye toh khuda bhi tha jhootha
Main sach maan baitha tujhe

Jhoothi wafaaon ki jhoothi kahani
Hai tune sunayi mujhe
Mere liye toh khuda bhi tha jhootha
Main sach maan baitha tujhe

Saare ke saare zakham hai sambhale
Jo tune diye the mujhe
Ab dhadakta hai seene mein mere
Hai wo patthar koyi dil nahi hai

Zindagi bhar jise maine chaha
Zindagi bhar jise maine chaha
Marke bhi mujhko haasil nahi hai

Bewafa tera masoom chehra
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Bhool jaane ke kaabil nahi hai
Bhool jaane ke kaabil nahi hai..